Sunday, April 4, 2010

sher zindagi ka ..

shayri toh ek ehsaas hai jiski shuruwat dil se hoti hai,
kya hua agar basa ho ankhon par dil..
inhi ankhon ke raste se lafso ki buniyaad banti hai..
kalam ki syahi toh sirf panno par apni nishaan chor jayegi..
par hain aise bhi kuch dard .jo sirf sharaab ke jariye apna iqraar kar jayegi
yeh duniya sirf wah-wahi deti hai,

karti hain hazaar charche,par gum se khud ko bezaar karti hai,
na soch tu in charcho ke baare main..yeh toh chand kaante hai,
jo khud hi toot jaayenge,bas barate chal tu kadam,
khuda bhi apni kudrat tujh par luta jayenge.

hamari chahat kuch unkahe lavso se bayaan hota hai,
yeh paigaam untak na pahuche,
isiliye toh hamari dil main dard,chehre par khusiyaa,
aur hoton par jaam rehta hai.

hazron ki bheer main khudko tanha paate hai,
hain itna dard dil main jo bayaan nahi ho payega,
kalam ki syahi sookh jayegi..aur panna bheeg jayega.

har mor par .raah ki mitti hamare aankhon par aa jaati hai,
toot toh bahut pehle hi hum chuke the..
lafz toh bahut pehle hi nikal chuke the..
zindagi ko pehchaan liya.ab jine ki aadat jeene ko majboor kar jaati hai.

lafz toh zarroor bik jayenge,
par yeh dard na bech paynege.
honge aap bahut aamir.par yeh aansu na kharid payenge.

hamari shayri hamara dard baatti hai,
dusroo ko gum ka ehsaas dilati hai,
hum na rahe toh hamare alfaaz yaad aayenge,
jo karna chahte hai pyaar ..unhe gum sehne ki aadat dilayenge.

yeh chahat hum apni rooh main basayenge,
sookh jaye mera shareer toh kya hua..,
hawao par hum chahat ki khusboo de jayenge.

bin maange kuch nahi milta is zindagi main..
dard toh door ki baat hai..
bin maange toh khairaat bhi nahi milta is zamane main.

yeh dard toh hamara kabhi khatam na hoga,
laankh karle hum bayaan,pata hain hume is dard ka koi marhm na hoga.
haan is dard ko chupa zaroor sakte hai..
kisike khusiyon ke liye..aansuo ki jagah
hoton par muskurahat laa zaroor sakte hain.
dard hi ho buniyaad mehfil ki aisi koi baat nahi,
khusion main ho jaayenge shaamil..kyunki anjaam ka hume pata nahi.
ashq jo behte hai ..use baha lenge,
par apne dard ke liye ..khusiyon se rooth jaaye ..
yeh hume manjoor nahi.

kar denge hum unhe begana .
jo sirf khusiyon par nazar aate hai..
jo baat le hamare gum..banayenge use apna
aur shuru karenge ek naya afsana..!!

No comments: