Sunday, April 4, 2010

kosish kiye chala hoon

har mor hume anjaana sa lagta hai,
zindagi toh ek paheli hain..
sab kuch begaana sa lagta hai,
hain nahi itni himmat joh khusiyon par chaa jau,
dil karta hai in..tanhayio se lar jau.

yeh chand lamho ne hum par aisa kaher dhaya hai,
ke zindagi par bas ..gum hi gum chaya hai.
hain har koi khafa humse ..iska hume gila nahi,
tumne ki bewafai ..iska bhi shikwa nahi..
sochte hai..kya mohabbat ki sazaa hai yahi..??

ek kahmosh muskurahat apne chehre pe rakhte hai,
laankh roye dil..tab bhi aansuo ko dil main samet liya karte hai.
hain itne gum joh baantne se kum na honge.
joh keh de kisise ..toh ashq beh jayenge,
par yeh zakhm kum na honge.

yeh zindagi toh ek kaanto bhari raah hai,
kar toh sakte hai maut se mohabbat.-
par khudgarz nahi ban sakte ,..kyunki .
is zindagi par ..zindagi dene wale ka bhi toh adhikaar hai.

humdardi toh har koi jaatayega ,
par sachaai ko kaun pehchaan payega,
khud ko bura banane ki bekaar si kosish kiya karte hai,
nakamyaab hai hum..
isliyetoh dil main nami aur ..hoton pe hasi sajaye liya karte hain.

khusiyon main hi sirf saath nibhaye ..aisi hamari aadat nahi,
kisiko dost keh kar bhul jaaye..itne bhi be-imaan nahi,
wafa na sahi..bewafai ki saugaat dena,
par jo aajaye koi gum,
toh sab se pahle hume bula lena.

yeh zindagi ka safar toh in tanhai-yo main kat jayega
bahenge aur bahutse aansu ..par yeh dil tumhe na bhul payega,
hain nahi koi armaan baaki joh puri karna chahenge,
mana apko kar lenge shrarik is gum main,
par kya is-se hamare zakhm bhar payenge.

toot chuke par ummid nahi chori humne,
gujre waqt ko bhulne ki kosis nahi chori humne,
woh aur honge joh dukho main apni saari zindagi bitayenge,
hum toh yeh lamhe seh kar..dukho se dur,
ek duniya basyenge..
AUR KHUD KO BADALNE KI KOSISH KIYE JAYENGE

No comments: