Sunday, April 4, 2010

lafz mere dil se

har zindagi ko mohabbat ki zaroorat nahi,
har mohabbat ko yaadon ki zaroorat nahi..
hain aise bhi zindagiyan ..jo tanha ji rahe hai..
tum saath ki baat karte ho..magar woh toh sirf zinda rehne ke hi laakh kosish kiye jaa rahe hai...

mehfil main fir se jaam bhar jayenge,
zindagi main khusiyaa fir aa jayenge,
bas zara dil ko samjha loh...
fir dekhna ...akele hote hue bhi ,aap tanha nazar na aayenge..!!

muddat se apke bager hum zindagi guzaar rahe hai,
hue toh zaroor the badnaam ..par ,
ab gumnaam ban kar safar kar rahe hai,
is kadar doob chuke hai gum main,
ke zeher ko bhi jaam samajh kar pi liya kar rahe hai

dil ki aawaj sunna zaroori hai,
jo karna hai pyaar toh ishaar karna zaroori hai,
mohabbat main kashis honi chahiye,
zindagi jeene se zyaada ..marne ki khwaish honi chayiye,
dekh kar pyaar toh har koi kar sakta hai..
dil se pyaar karne ke liye mohabbat honi chahiye,
pyaar hote hi toh dil loot jaata hai,
yakeen is dil par se kho jaata hai,
is zindagi ko koi pakar na saka hai,
jaana toh har kisiko parega ,
aap phirbhi apni kosish kiye jayiye....
pyaar woh kasis hain jise koi chupa na saka hain,
jo girte hain tumhare ashq..toh na ghabrao kyunki,
yahi toh pyaar ka falsafa hain...
yeh kuch gum ke lehre jald hi chale jayenge..
fir toh khusiyon ka toofan aana likha hai...

khubsurti agar milti aansuo se ..to har koi gum main duba hota,
dard ko seene se lagakar ..har koi tanha jee raha hota..,
na kar us khudaiee ko na-manjur tu..,
bin maange is duniya main koi armaan pura nahi hota..!!

app chale gaye toh kya hua..hum apko dil main yaad kar liya karenge,
aansu jo beh jaaye..toh yunhi muskura kar khud ko khus kar liya karenge,
kosish toh ki thi apko bhulane ki,
par hum naakam rahe..ab toh apki tasweer roj khwabo main saja liya karenge.

majburiyaa toh har kisi ki hoti hai,
milenge aise bahut manjar jinhe pass pakar bhi ..duriyaan mehsus
hoti hai,
churakar hamari dharkane khud ko bekasoor kehte hain,
ab keh bhi daliye hume..kyun chahat ko namanjur karte hain?

No comments: