Sunday, April 4, 2010

kya apne haath gande kar paoge..??

Have we ever taken out atleast 5 mins of our so called life to think that what have we done for any1..who has given us right to comment on sum1 else wen we ourselves are not perfect..there is a saying that "practice before you preach..if we cant do anything for any1 then we have no rights to comment on any1 else coz its easy to throw a stone at mud but its very hard to get in the mud and clean it.. thats a fact..everything has a reason and before knowing it..its better not to comment on anything.

aaj bhi wohi subah hai..aaj bhi wohi zindagi hai,
zindagi ke panne sookh gaye par syahi ab bhi wohi hai,
jaldbaazi toh ab aadat si ho gayi hai,
pee jaate hai khoon ke aansu isi kosis main,
ki koi keh na sake "yeh bhi apni maa jaisi hai"..!!

haan main bhi apne bache ko ek sunehra kal dungi,
dusro ki tarah acchi parvarish karungi,
mere lamhe toh gum ho gaye hai..
par uski zindagi ab bhi poori baaki hai...

haan main apne zism ko bechti hoon,
apne is tan se paise kamaati hu.
log chahe mujhe kuch bhi kahe ..
par akhir bheek toh nahi maangti hoon.

yeh zindagi ke safar bara zaalim hai,
yaha sirf kaante hai..aur masoomiyat ka katleaam hai.
bas yeh banzar zindagi kisi ke naam kar chuki hoon,
apni sharm o haya ek nanhi si zindagi ke liye KURBAAN kar chuki hoon.

kya haq hai unhe jo mujhe gaaliyaan dete hai,
madat toh duur ki baat hai..meri zindagi ko nasoor bana diya karte hai,
are jao kabhi khud ko aayne main dekho,
main toh apne zism ko bechti hoon,
tum toh zameer bech kar jiyaa karte ho..

haan aasaan hai duur se kisi ke gum pe hasnaa,
dusro ki majburio par jo man chaye woh kehna,
kaho kya tum mujhe sahara de paoge,
meri zindagi ke saath aur ek nahi zindagi ka bojh utha paoge..,
kaho kya is keechar main utar kar tum APNE HAATH GANDE KAR PAOGE???"

No comments: